Wednesday, April 28, 2010

bolo kyun ker aisaa haii

main shashwat jeevan kii prateek,
main dhraa heen main kaanti heen,
main dharaa hun main bhehti hoon,
main dishaa key rukh pey rehti hoon,
mujhmey hai santaap chchipaa..
mujhmey hai akrosh dubaa.
mujhmay hai soyei hui nishaa,
mujhmey hai jagrut ushaa.
mager kahaa paa sakii main dishaa..
hoon dishaa heen per behti hoon,
main jug key rikh pey rehtii hun.
jug main bolo kyaa mera hai,
aur bolo kyun ker aysaa hai.??????

Bitiyaa....

Naa anaa aubke tu is desh bitiyaa,
yehaan kyaa buchaa hai tera shesh bitiyaa.
jahan tu thii kheli,pali thii badit thii,
woh aagnaa huaa teraa videsh bitiyaa.
kahan pee hai babul aur kaha gai maai,
bus sub aub hain yadoon main hee shesh bitiyaa.
kahin koi baithaa nahi raah tektaa,
kise bhejti hai tu sandesh bitiyaa.
thii tu to parayi janam se maran tak,
kahan thaa yahan tujhme tera shash bitiyaa.
teri thati teri paati tera hum tera gum,
kuch bhii nahi hai inke leye vishesh bitiya..
MADHAVI SINGH...28/4/10..

.मॉ
चहचहाती जिन्दगी सी वो..
मदहोश करती रौशनी सी वो...
काबिले तारीफ है लेकिन...
राज बनकर रह गई है वो....
जिन्दगी देती सभी को है..
जिन्दगी में जिन्दगी सी वो.........
कब कहॉ हासिल है वो हर दम...
कब कहॉ मय्स्सर सभी को वो....
मुझको हैं घेरे चारसु गम..
मगर नही आती नजर कहीं भी वो.........